Tuesday, 29 September 2015

Ajanmi Santaan ....

Anshu



O ajanmi santaan meri!!!
Tu kalpit si aadrishya kahin,
Shunaya mein nirakaar sahi,
Apne astitwa ki sambhawna,
Mein pratiksharat ehsaas kahin,
Tu maa ke mamatwa mein waas kare,
Pita ke purusharth ka sakshya rahe,
Unke har chan mein tu pratichan,
Chan banker har chan beeta bhi kare,
Tu aasha hai abhilasha hai,
Unki abhinnata ki paribhasha hai,
Unmein jeeti unka kal tu,
Apni pehchaan ko tatpar aanewala pal tu,
Santaan meri,mujh mein tu basi,
Saanson mein jeevan paati hai,
Khwabon ke narm bichaune par,
Har neend mein mujhse milne aati hai…..


Swapn Mein Hi Jaag Jaanaa....

Anshu



Neend parichit,swapn surbhit,
Hai ye kaisa taana baana;
Bhor ke aane se pehle,
Swapn mein hi jaag jaana….
Ikshaon ke wo parindey,
Jo hain bebas qaid mein youn;
Un sabhi ka swapn mein hi,
Ek naya aakaash paana….
Main bandhi chahe yahan hoon,
Aatma pe na bandh koi;
Neend ki behoshiyon mein,
Ankaha sabkuch wo paanaa…..
Ho bhale jeevan andhera,
Khwaab ke rang gehre hote;
Ho bhale jimson pe pehre,
Rooh par na pehre hote…..
Swapn ke adbhut jahan mein,
Hai mujhe sab kuch wo paana;
Jo na milta is jahan mein,
Un palon ko jeet laanaa…..
Swapn ke sab rang sunehre,
Un par na duniya ke pehre;
Us  anokhe se jahan mein;
Hai mujhe bhi door jaana…..



Saturday, 26 September 2015

Dard Ka Saudagar...

Anshu



Wo dard ka saudagar hai 
Bas dard ka sauda karta hai,
Dardon ke khazane se apni 
Jeevan ki jholi bharta hai,
Khushiyon ke baharon se Bach kar,
Wo dard ka sukha sehta hai, 
Khushiyan na mile to gam hai nahin, 
Gam na milne par gamzada rehta hai, 
Wo peer nagar ka wasinda, 
Khushiyon ke gharaunde kya jaane, 
Wedna hai jiski bas poonji 
Wo sukh ke khazane kyon pehchane, 
Khushiyan to bas is jeevan tak hai,
Peera ki anant kahani hai,
Jeevan ki seema se aage bhi, 
Har seema us ke liye bemani hai,
Ye peer na to seemarat hai, 
Na isko koi baandh hi paaya hai, 
Jeevan ki seemaon ke aage bhi, 
Iski mayawi maya hai...

Friday, 25 September 2015

Zinda laashon ki jeeti jaagti zindagi hai.....

Anshu


Ye bhi koi zindagi hai bhala, 
Jahan saansein na zinda hai na murda, 
Agar hai to ek nishabhdhata hai, 
Jalti bhujhti huyi nishwashon ki,
Jeevan Aur mrityu ke seemankan par,
Stabdh si khari akakshaon ki, 
Jeevan ko paribhashit karti 
Akathya wednaon ki.....
Ye bhi koi zindagi hai bhala!!! 
Par vidamwana hai ki yahi.. 
Ghutan si ghutati zindagi hai,
Ye Mar kar bhi na mari huyi, 
Zinda laashon ki jeeti jaagti zindagi hai....