Anshu
Zindagi !!!
Tere kayi ehsaan hain mujh par,
Ki tune mujhe khushi ki jagah dard diye,
Jis din se maine tujhko apne dard mein jiya,
Tere diye dukhon ka kadwa ghoont piya,
Tere sadke bebas lamhon ko,
Aansoo peekar apna bhi liya,
Par un theekhe se lamhon mein,maine na Tujhe kabhi pehchana,
Tu mere liye sab lutati rahi par bhed na tera maine jaana,
Tu dard ki aag mein tapa tapa kundan sa mujhe banati rahi,
Main bhale tadapti roti rahi tu mujhko main sa sajati rahi,
Maine tap kar jal kar mit kar hi apne astitwa ko aaj paaya,
Isliye aye jeevan tujhko naman mera rom rom karne aaya..