Thursday, 31 December 2015

Jeene waale jeevan ko har lamhein mein jeete hain......

Anshu


Ye kal jo beet gaya hai;Wo kal na aane waala;
Anubhav ka dhan luta kar ye warsh hai jaane waala;
Aashaon ki chaukath par; Yaadon ke deepak sajkar;
Path raushan karte mera; pratichan pratipal wo jal kar....
Jo lamhein beet gaye hain; unmein main bhi beeti hoon;
Ek warsh na khatam hua hai;main bhi to kharch huyi hoon;
Anubhav ke pushp samarpit karne aayi jeevan ko;
Swayam ko lutaya tab hi paaya maine hai khud ko;
Path dekha karti mera vednayein praan jala kar;
Apna astitwa mitatai mera wo maan badha kar;
Main virah panth ki panthi; peera mein hi nikhri hoon;
Chetan se jar phir chetan ban kar ke main sanwari hoon;
Jo karte nhi samarpit khud ko hi khud ke aage;
Wo kuch bhi nahin paa sakte saara jahaan bhi paakar;
Khud ko luta kar hi to sab ko paaya jaata hai;
Aise jeene waalon par . jeevan bhi ithlata hai;
Sab jeete hain paane ko, jeevan ko kuch paate hain;
Lamhon ko kuch jeete hain;kuch lamhein ban jaate hain;
Aate jaate rehte hain chan saal mahine lekin;

Jeene waale jeevan ko har lamhein mein jeete hain……

Monday, 28 December 2015

khwabon ki hakiqat ko sada tarsi huyi si main...

Anshu


Dabi har khwahishon ki laalsa mein tum hi tum to ho;
Humari ankahi farmayishon mein bhi tumhi tum ho;
Jo koi palkon ki chilman mein ek baar jhaank le younhi;
To un palkon mein jagte khwaabon mein jagte hue tum ho;
Tadap kar jab kabhi humne tumhein rokar pukara hai;
To farsh se arsh tak jaati sadaon mein tumhi tum ho;
Kabhi sajdey mein humne jab hatheli ko uthaya to;
Har ek aas mein,ehsaas mein basti duaa tum ho....
Tum mere khwabon mein baste ho phir bhi khwaab se ho tum;
Magar ek khwaab hokar bhi ek khoobsurat ehsaas bhi ho tum....
Tumharay khwaab mein ek khwaab si banti huyi si main;
Un khwabon ki hakiqat ko sada tarsi huyi si main...!!! ♥♥♥