Anshu
Suno !!!
Tum yaad ye rakhna,
Main tumse milne aaoongi,
Jab raaton ke saaye raat ko
raaton sa rangte hain,
Jab chanda-chandani bhi pyar
ki hi baatein karte hain,
Dhara ka mann bhi jab kuch
shant sa,khoya sa hota hai,
Ye poora hi jahaan jab neend
mein soya sa hota hai,
Ye taare bhi na jaane kis
jubaan mein kya kuch kehte hain,
Chamak kar,timtima kar na
jaane kya baatein karte hain,
Hawayein bhi kuch alsayi si
peron par hi soti hain,
Sehem kar shaant si har
patti bhi khamosh hoti hain,
Inhin raaton ke saaye mein,
main tumse milne aaoongi,…..
Bhale pratyaksh na paaya
magar sapnon mein paaoongi,
Gadhoongi main tumhein apne
vicharon ki hi maati se,
Bharoongi praan tum mein apne
bhawon ki syahi se,
Miloongi main tumhein har
raat khwabon ki hi waadi mein,
Tumhara saath paaoongi main
apni kalpanaon ki ghati mein,
Mera intazaar tum karna,
Main tumse milne aaoongi…….
No comments:
Post a Comment