Friday, 22 January 2016

Mohabbat.....

Anshu

Mohabbat ka ehsaas paas hokar hi ho ye zaruri to nahin;
Kabhi kabhi dooriyon mein bhi; 
Mohabbaton ke zikr har lamhein mein ho jaaya karte hain;
Paas hokar to mohabbat har kisi ki nikharti hai;
Jo dooriyon mein khud ko sanwaar le; 
Wo mohabbatein,bandey ko khuda banaya karti hain;
Mohabbat kashi kaaba mein ya mehboob ki baahon mein bas nahin palti;
Ye wo ehsaas hai jo dilon mein ghar banaya karti hai;
Jeet bhar jaane ki bas aas nahin hoti isko,
Ye wo guroor hai jo khudi ko mitaya karti hai;
Do jism ko ek jaan bas nahin karti ,
Ye to ek jaan ko do jismon mein basaya karti hai;
Sirf bandon se hi laag ye lagati nahin,
Ye to wo ibadat hai jo bandon ko khuda banaya karti hai....
ISLIYE TO
Mohabbat ko samajh paana bahot aasaan,mushkil hai;
Mohabbat har samajh ki har samajh par raaz karti hai....

No comments:

Post a Comment