Friday, 14 August 2015

Tiranga.....

Anshu



Tiranga !!!
Sirf teen rang nahin
Ye aatma hai mere desh ki
Ye abhiwyakti hai swadesh ki
Inmein sirf jai ka unmaad nahin
Akathya wedna hai beete hue bhoot ki
Ye humare swatantraya ki pehchaan hi nahin
Ismein bimbit hai sadiyan paratantra ki
Ye sirf sahas himmat ko hi mastak par dharan nahin karta
Ismein lahu  mila hua hai humare ubalte hue balidaan ka
Isne ahimsa aur satya ka hi marg wishwa ko nahin sujhaya
Par jiye hain swayam isne bhi kayi lamhein sangharsh ke
Iski hari bhari dharti ko dekh kar bhramit na ho jaana
Ki us dhara ne hi jhele hain kayi mausam baadh aur sukhaar ke
Iske badhte kadam zaroor sunehre bhawishya ki aas jagate hain
Par us bhawishya ki neev mein soye hain asankhya veer
Humare aaj ke liye apna aaj waar ke
Aazaadi ki khusi to hai par ek kasak bhi hai beete hue kal ke liye
Aane waale kal ke liye hausla to hai par shradha bhi umar kar aati hai beete lamhon ke liye
Kaash hum apne aaj ko jeete hue apne kal ko bhi sambhal paate
Un beete lamhon mein jee paate un bujhi huyi saanson ko chu paate
Un aankhon ki chamak ko apni aankhon mein bimbit kar paate
Par ye sab na hokar bhi hum aajaaz hain
Ye Tiranga prateek hai humari aazadi ka
Sirf teen rangon mein nahin simta ye
Ye abhiwyakti hai swadesh ki……..



No comments:

Post a Comment