Anshu
Ye waqt na Phir
aayega,
Ye aaj na kal aayega
Tum hoge main bhi hoongi
Ehsaas simat jaayega
Tumhein meri zarurat hogi
Mujhe teri zarurat hogi,
Par humsa hum na hoga
Unmaad simat jaayega
Tum saath saath to hoge,
Tum paas paas bhi hoge,
Par ispar bhi jeevan ka,
Zazbaat simat jaayega,
Tum jeevan mein to hoge,
Par jeevan tum bin hoga,
Is saari uljhi uljhan mein,
Anuraag simat jaayega,
Teri aas laga baithi hoon,
Main aaj ke in lamhon mein,
Jo tu aa na saka to humdam,
Sab khwaab simat jaayega...
Ehsaas simat jaayega,
Zazbaat simat jaayega,
Aur mujh mein thak kar khud hi
Mera aap simat jaayega.....
Ye aaj na kal aayega
Tum hoge main bhi hoongi
Ehsaas simat jaayega
Tumhein meri zarurat hogi
Mujhe teri zarurat hogi,
Par humsa hum na hoga
Unmaad simat jaayega
Tum saath saath to hoge,
Tum paas paas bhi hoge,
Par ispar bhi jeevan ka,
Zazbaat simat jaayega,
Tum jeevan mein to hoge,
Par jeevan tum bin hoga,
Is saari uljhi uljhan mein,
Anuraag simat jaayega,
Teri aas laga baithi hoon,
Main aaj ke in lamhon mein,
Jo tu aa na saka to humdam,
Sab khwaab simat jaayega...
Ehsaas simat jaayega,
Zazbaat simat jaayega,
Aur mujh mein thak kar khud hi
Mera aap simat jaayega.....

No comments:
Post a Comment