Mohabbat ki nazar ko nazrein hi
pehchaan sakti hain;
Nazar mein hi to un nazron ki,
beshaq jaan hoti hain;
Nazar se hi janam lekar mohabbat
dil mein palti hai;
Nazar se hi kabhi girkar mohabbat
dil ko khalti hai;
Nazar se jo kabhi dekho to un
nazron mein jannat hai;
Nazar ki hi nazar hoti nazar mein
palti mannat hai;
Nazar ki baat mat karna,nazar
bebaak hoti hain;
Nazar se baat karte hi nazar
betaab hoti hain;
Nazar hi to duaaon mein khudayi
ko manati hai;
Nazar ki ek nazar mein nazrein
khud ko haar jaati hain;
Nazar ko jab jhuka kar koi phir
nazrein uthata hai;
Nazar ki is adaa par nazron ko
phir pyaar aata hai;
Nazar mein basti nazron ko zara
itna zata dena;
Unhein humraaz bankar raaz ye
chupke bata dena;
Nazar mein janm leti hai mohabbat,
dil mein palti hai;
Nazar ka maan hoti hai kabhi
abhimaan hoti hai;
Nazar mein hi samarpit si wo
arpit khud ko karti hai;
Nazar ki prerna bankar wo kalpit
khud ko karti hai;
Nazar ki aas hoti hai who ek vishwaas
hoti hai;
Nazar mein ek hokar dono ka
aabhaas hoti hai;
Nazar mein janm leti hai nazar
mein hi fanna hoti
Nazar mein hi wo apni zaat ka
ehsaas hai khoti;
Nazar se nazron ka lamba safar hi
unki niyati hai;
Isi mein unki bhakti hai,isi mein
unki mukti hai……..
No comments:
Post a Comment