Saturday, 22 November 2014

Nashwarta ka warrrr.......

 
 
 
 
Nar ke wash ki baat, devta bane ki nar reh jaayein,

Ruke gandh par ya badhkar phoolon ko galae lagayein...

Par sur banein manuj bhi.way yah swatwa na paa sakte hain,

Gandhon ki seema se aage dev na jaa sakte hain….
 
Kya hai yah amratwa??? Samiron sa saurabh peena hai,
 
Mann mein dhoom samet shanty se yug-yug tak jeena hai….
 
Par,socho to martya manuj kitna madhu ras peeta hai,
 
Do din hi ho par kaise  wah dhadhak-dhadhak jeeta hai,
 
In jwalant wagon kea aage, malin shanti saari hai,
 
Chan bhar ki unmad tarang pe chirta balihari hai …..

 
( From:" Urvashi " By Great National POET Ramdhari Singh" Dinkar " )

No comments:

Post a Comment