Friday, 3 October 2014

Vijayadashmi : badalte hue yug mein ek wyang ka paryay







Vijayadashmi : badalte hue yug mein ek wyang ka paryay

Vijyadashmi ya vijay utsav keh lijiye sarkar,,,,sadiyon se ye parampara chali aa rahi hai,,,,Ram ne Ravan ko kya mara ki ye aadhunik yug k logon ke liye manoranjan ka sadhan ban gaya….koi bhi is parv ke mool tathya ko jaanane  parakhne ya samajhne ki koshish nhi karta bas ravan ko dhoom dhaam se jalane ki hor si lagi hoti hai….Har locality ke logon ki yahi koshish rehti hai ki unka program accha ho….yaani ki ab ravan dahan ek program ban kar reh gaya hai manav ke vichar mein…..Ram ki to chodiye sarkar aaj Ravan bhi es naye yug ke chaal-chalan ko kahin aakaash-patal lok se dekhta hoga to dang reh jaata hoga…. Seedhe saadhe satyugi  Ravan ki buddhi chakra kar reh jaati hogi…….
Ram aur Ravan ke adarsh to kahin aadhunikta ke daur mein kho se gye hain….is concrete ke jungle mein vicharta aadhunik manav ab kahan adarshon aur bhawon ke jaal mein ulajhna chahta hai athwa kahan ab uski machineyukt buddhi in manviye aur danviye bhawnaon ko samjh sakti hai…..bhale wo manviye bhawon ko samjhne mein asamarth ho par wo manav zaroor hai…..bhale uske palle danviye bhaw nhi padte hoan par wo mann se danav bhi hai…..is hone aur na hone ki kashmakash mein manav apna satwa khota sa prateet hota hai….ek shunaya mein vilin hota sa prateet hota hai….ek banzar sa ehsaas hota hai use dekh kar…..ek khalipan ka vichar aata hai use parakh kar……ab yahi is adhunik manav ka sach hai…..is aadhunik manav ki antaraatma kisi gehri khayi mein jaa soyi hai …. Aur saath saath so gayi hai uski manviye chetna……
Ravan  mahagyani tha ,itna ki khud Ram ne bhi uski yogyta ko maan kar lakshman ko uske paas gyaan lene ko bheja tha…..wo durachari  zaroor tha parantu naitik mulyon ka palan karta tha warna kaun aisa purush hoga jo us naari ka apaharan karne ke baad use chuye tak nahi jise kabhi usne apna banana chaha tha….usne sita ko zaroor kaha  tha use angikaar karne ko par bal ka prayog kabhi nhi kiya…..usmein naitik mulya  baaqi the…..wahin aaj ka ye adhunik manav jo swayam ke antar mein ek ravan chupa kar baitha hai ya youn keh lein ki ye ravan ka hi koi kalyugi judwa bhai hai jo swayam ko ravan kehta phirta hai par Ravan se ratti bhar bhi mel nhi khata…..kahan mahagyani ravan aur kahan is patan ke gart mein gira huya ye kalyugi ravan….zameen aasmaan ka farq hai dono mein…..
Aaj ka ye manviye ravan gyani zaroor hai par buddhiheen bhi…..bahot badi badi degreeyaan hasil kar li hai isne par naitik mulyon ka sabak iski samajh se bahar hai……badi badi machine aur computer chalata hai ye par apne aap ka ise hosh nhi….aur jo apne aap ko na sambhal sake wo duniya ka kya bhala karega…..Is adhunik manav ko ye bhi nhi pata ki Ravan kisi insaan ka naam nhi parantu man ki ek sthiti hai ek writti hai…..uska koi roop nhi aakaar nhi prakaar nhi….jo wistrit hai aur ek mann mein samahit bhi…. Jo manav jaati ke manviye bhawon mein waas karti hai jo manviye aatma ko kalushit karti hai….jiska andhkaar manav ke swayam ke hi astitwa ko kalankit kar raha…..aaj ka ravan gyani bhi hai badi badi baatein bhi karta hai parantu usi gyaan ke pare khokhlapan hai…..ek dishhinta hai,,,,ek bhatkaw hai…….
Wo har warsh ravan ka putla kisi park mein jama hokar jala to leta hai par apne antar k kalyugi ravan ko aur bhi bebaak bana deta hai,,, hazaron ke patakhe jalate hue use kabhi bhi garibon ki jalti huyi bhookh ka khayal nhi aata…..patakhon ke shor mein apne antar ke sannaton ka attahaas sunayi nhi deta use…..bheed mein jama hokar use apne aap ka adhurapan ,khalipan aur akelapan yaad nhi rehta….jalte hue ravan ko dekh kar use kabhi bhi maa-behnon ki jalti huyi laaz ka dhyaan nhi aata…..is jhooth mooth ke dikhawe ke kolahal mein use khud ke khoye hue aap ka gumaan nhi rehta……Har warsh wo Ravan nhi jalata balki apni chetna ko agni ki bhent chadha aata hai……
Ravan ka putla to jal hi jaata hai aur saath mein jal jaati hai manviye chetna,uski manavta aur uski jai bhi ….jab manav ki jai hi jal jaaye to kaise koi satyugi manav RAM ki jai jaikaar kare….kaise koi aarti gaye,,,,kaise koi deewali manaye kyonki  bina jai ke vijay parv kaisa…… Ravan jal kar bhi amar ho jaata hai aur manav use jala kar bhi manavta  ko aag laga aata hai…….

Aur hum aadhunik manav apne ghamand mein choor jhoote wijay par itrate rehte hain agle hi pal haarne ke liye ,tootne ke liye,sirae se bikharne ke liye,,,,aur kabhi bhi na sambhalne ke liye kyonki jab tak is jhoothe aadambar ko manav jeeta rahega tab tak uska utthan sambhaw nhi aur tab tak koi RAM avtar nhi lega jo Ravan ko fir se parajit kar sakae aur manavta ko bal pradaan kar sakae…..

5 comments:

  1. amazing thoughts......thankssss..............

    ReplyDelete
    Replies
    1. Wonderful thought and seems with reality.
      मानवता की घोर पराजय दानावता की घोर अभय है। बात पराजय की मत पूछो आज हमे अपनो का भय हैं।

      Delete
    2. धन्यवाद!

      Delete