Vijayadashmi : badalte hue yug mein
ek wyang ka paryay
Vijyadashmi ya vijay utsav keh
lijiye sarkar,,,,sadiyon se ye parampara chali aa rahi hai,,,,Ram ne Ravan ko
kya mara ki ye aadhunik yug k logon ke liye manoranjan ka sadhan ban gaya….koi
bhi is parv ke mool tathya ko jaanane
parakhne ya samajhne ki koshish nhi karta bas ravan ko dhoom dhaam se
jalane ki hor si lagi hoti hai….Har locality ke logon ki yahi koshish rehti hai
ki unka program accha ho….yaani ki ab ravan dahan ek program ban kar reh gaya
hai manav ke vichar mein…..Ram ki to chodiye sarkar aaj Ravan bhi es naye yug
ke chaal-chalan ko kahin aakaash-patal lok se dekhta hoga to dang reh jaata
hoga…. Seedhe saadhe satyugi Ravan ki
buddhi chakra kar reh jaati hogi…….
Ram aur Ravan ke adarsh to kahin
aadhunikta ke daur mein kho se gye hain….is concrete ke jungle mein vicharta
aadhunik manav ab kahan adarshon aur bhawon ke jaal mein ulajhna chahta hai
athwa kahan ab uski machineyukt buddhi in manviye aur danviye bhawnaon ko samjh
sakti hai…..bhale wo manviye bhawon ko samjhne mein asamarth ho par wo manav
zaroor hai…..bhale uske palle danviye bhaw nhi padte hoan par wo mann se danav
bhi hai…..is hone aur na hone ki kashmakash mein manav apna satwa khota sa
prateet hota hai….ek shunaya mein vilin hota sa prateet hota hai….ek banzar sa
ehsaas hota hai use dekh kar…..ek khalipan ka vichar aata hai use parakh kar……ab
yahi is adhunik manav ka sach hai…..is aadhunik manav ki antaraatma kisi gehri
khayi mein jaa soyi hai …. Aur saath saath so gayi hai uski manviye chetna……
Ravan mahagyani tha ,itna ki khud Ram ne bhi uski
yogyta ko maan kar lakshman ko uske paas gyaan lene ko bheja tha…..wo
durachari zaroor tha parantu naitik mulyon
ka palan karta tha warna kaun aisa purush hoga jo us naari ka apaharan karne ke
baad use chuye tak nahi jise kabhi usne apna banana chaha tha….usne sita ko zaroor
kaha tha use angikaar karne ko par bal
ka prayog kabhi nhi kiya…..usmein naitik mulya
baaqi the…..wahin aaj ka ye adhunik manav jo swayam ke antar mein ek
ravan chupa kar baitha hai ya youn keh lein ki ye ravan ka hi koi kalyugi judwa
bhai hai jo swayam ko ravan kehta phirta hai par Ravan se ratti bhar bhi mel
nhi khata…..kahan mahagyani ravan aur kahan is patan ke gart mein gira huya ye
kalyugi ravan….zameen aasmaan ka farq hai dono mein…..
Aaj ka ye manviye ravan gyani
zaroor hai par buddhiheen bhi…..bahot badi badi degreeyaan hasil kar li hai
isne par naitik mulyon ka sabak iski samajh se bahar hai……badi badi machine aur
computer chalata hai ye par apne aap ka ise hosh nhi….aur jo apne aap ko na
sambhal sake wo duniya ka kya bhala karega…..Is adhunik manav ko ye bhi nhi
pata ki Ravan kisi insaan ka naam nhi parantu man ki ek sthiti hai ek writti
hai…..uska koi roop nhi aakaar nhi prakaar nhi….jo wistrit hai aur ek mann mein
samahit bhi…. Jo manav jaati ke manviye bhawon mein waas karti hai jo manviye
aatma ko kalushit karti hai….jiska andhkaar manav ke swayam ke hi astitwa ko
kalankit kar raha…..aaj ka ravan gyani bhi hai badi badi baatein bhi karta hai
parantu usi gyaan ke pare khokhlapan hai…..ek dishhinta hai,,,,ek bhatkaw hai…….
Wo har warsh ravan ka putla kisi
park mein jama hokar jala to leta hai par apne antar k kalyugi ravan ko aur bhi
bebaak bana deta hai,,, hazaron ke patakhe jalate hue use kabhi bhi garibon ki
jalti huyi bhookh ka khayal nhi aata…..patakhon ke shor mein apne antar ke
sannaton ka attahaas sunayi nhi deta use…..bheed mein jama hokar use apne aap
ka adhurapan ,khalipan aur akelapan yaad nhi rehta….jalte hue ravan ko dekh kar
use kabhi bhi maa-behnon ki jalti huyi laaz ka dhyaan nhi aata…..is jhooth
mooth ke dikhawe ke kolahal mein use khud ke khoye hue aap ka gumaan nhi rehta……Har
warsh wo Ravan nhi jalata balki apni chetna ko agni ki bhent chadha aata hai……
Ravan ka putla to jal hi jaata
hai aur saath mein jal jaati hai manviye chetna,uski manavta aur uski jai bhi ….jab
manav ki jai hi jal jaaye to kaise koi satyugi manav RAM ki jai jaikaar kare….kaise
koi aarti gaye,,,,kaise koi deewali manaye kyonki bina jai ke vijay parv kaisa…… Ravan jal kar
bhi amar ho jaata hai aur manav use jala kar bhi manavta ko aag laga aata hai…….
Aur hum aadhunik manav apne
ghamand mein choor jhoote wijay par itrate rehte hain agle hi pal haarne ke
liye ,tootne ke liye,sirae se bikharne ke liye,,,,aur kabhi bhi na sambhalne ke
liye kyonki jab tak is jhoothe aadambar ko manav jeeta rahega tab tak uska
utthan sambhaw nhi aur tab tak koi RAM avtar nhi lega jo Ravan ko fir se
parajit kar sakae aur manavta ko bal pradaan kar sakae…..

amazing thoughts......thankssss..............
ReplyDeleteThanks!!!
DeleteThanks!!!
DeleteWonderful thought and seems with reality.
Deleteमानवता की घोर पराजय दानावता की घोर अभय है। बात पराजय की मत पूछो आज हमे अपनो का भय हैं।
धन्यवाद!
Delete